Tuesday, July 1, 2014

Some Of The Best 2 Line Shayari's

Love Couple Picture

Hathoon key lakiroon pay matt jaa ae Ghalib,
Naseeb unkay bhi hotay hain jinkaay haath nahi hotay ...

Kaiday-hayaat, banday-gham asal may dono eik hain,
Maut say pahlay aadmey gham say nigaat paye kyun ?

Matt poonch key kya haal hai mera tere pechhee,
Tu dekh key kya rangg hai tera meray aagay ... 

Hazaroon khwaheeshen aise ki har khwahesh pay dum nikale, 
Bahhut nikale meray armaan lekin phirr bhi kam nikale ...

Nazzaare nay bhe kaam kiya waan naqaabb ka, 
Mastey say harr nigaah terey Rukhh par bikharr gaye ... 

Jala hai jism jahan dil bhey jal gaya hoga, 
Kuraydtay ho jo ab raakkh, justjoo kya hai ?

Four Line Mirza Ghalib Shayari

Sarayy raah jo unsaay nazarr mili,
To naksh dil kay ubharr gayay,
Hum nazarr mila kar jhijhag gayay,
Woh nazarr jhukaa kar chalay gayay ....

Sabnay pahnaa tha baday shaukk se kaagaz ka libaas,
Jis kadarr logg thay baarish me nahaanay walay,
Adal ke tum na humay aas dilaaoo,
Katl ho jatay hain, zanzeer hilanay walay …

Nuktaa chi hai gam e dil, key sunayaa na banay,
Kya baat banay wahan, jahan baat banyay na banay,
Ishq par zorr nahi hai yeh woh attissh Ghalib,
Jo lagaye na lagay bhujhaye na banay ...

Har eik baat pay kehtay ho tum key ‘toh kya hai’ ? 
Tumhi kaho key ye andaaz-e-guftguu kya hai ? 
Ragon may daudtay firnay kay ham nahi qayal, 
Jab aankh hi say na tapkaa to firr lahoo kya hai ?

A Tribute To The Legand

Na tha kuchh to khudaa tha, kuchh naa hota to khudaa hota,
Dubayaa mujhko honay ne, na hota main toh kya hota ?
Hua jab ghamm say yoon behiss to ghamm kya sarr kay katnay ka,
Na hota gar juda tann say to zanoo par dharaa hota,
Huye muddat key ghalib marr gaya par yaad aata hai,
Har ek baat par kahnaa key yun hota to kya hota ...

If you enjoyed reading these shayari's collection, PLease SHare THis.

Some Of The Best 2 Line Shayari's

Some Of The Best 2 Line Shayari's 

Is qadarr tora hai mujhaay uss ke be-wafaai nay "ghalib"
Abb koi agarr pyar se bhi daikhaay to bikharr jata hoon mai ...

Kitnaa khouff hota hai shaam kay andheroon mein,
Poonch un parindoo say jin kay gharr nahi hotay ...

Hum toh fanaah ho gaye uskii ankhen dekh kar Ghalib,
Naa janay woh Aainaa kiasay dekhte hogey ...! 

Unkay dekhnay say jo aa jaati hai muh par raunaqq,
Woh samajhatey hai ki bimaar ka haal achcha hai ...

Dil say terey nigaah jigarr tak utarr gaye, 
Dono ko eik adaa mein razaamand karr gaye ...

Tuesday, September 17, 2013

Baat Krta Hun Jab Khud se Toh na Jane Kyon Tumhari Awaaz Si aati hai !!!
Khota Hun Jab Khyalon Main Main Apne toh Tum pe kyon aa k meri soch thehar si Jati hai...

Sunday, August 1, 2010

daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN

        daayam  paDa  huaa  tere  dar  par naheeN  hooN maiN
KHaak 'eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN

[ daayam = always ]

kyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ?
insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN

[ gardish = bad time/luck, mudaam = always ]

yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?
loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN

[ harf = alphabet, muqarrar = again ]

had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste
aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN

[ uqoobat = pain ]

kis waaste 'azeez naheeN jaante mujhe ?
laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN

[ laal = a kind of gem, zumurrud = green colored gem,
zar = gold, gauhar = gem ]

rakhte ho tum qadam meree aaNkhoN se kya dareGH
rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN

[ dareGH = regret/grief, mehar = sun, maah = moon ]

karte ho mujhko man'a-e-qadam_bos kis liye ?
kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ?

[ bosa = kiss ]

'GHalib' wazifaa_KHwaar ho, do shaah ko duaa
woh din gaye ki kehte the;, "naukar naheeN hooN maiN"

[ wazifaa_KHawaar = pensioner ]

Friday, July 30, 2010

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa
[dushwaar=difficult; mayassar=possible]
giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa
[giriyaa=wiiping; kaashaanaa=small house; bayaabaa.N=wilderness]
waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa
jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa
[az_bas=intensely; jauhar=skill/knowledge, mizaGaa.N=eyelid]
ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa
[ishrat=joy/delight, shamashiir=sword, uriyaa.N=naked/bare]
le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa. N honaa
[nishaat (or nashaat)=enthusiasm/happiness, sad_rang=hundred colours]
ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa
[ishrat=joy/delight; paaraa=fragment/piecek lazzat=taste]
[riish=wound; Garq=drown/sink; namakdaa.N=container to keep salt]
kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa
[zod=quickly; pashemaa.N=ashamed/embarrassed]
haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa
[haif=alas!; girah=one sixteenth of a yard; garebaa.N=collar]

be-aitadaaliyo.n se subuk sab me.n ham hue



be-aitadaaliyo.n se subuk sab me.n ham hue
jitane ziyaadaa ho gaye utane hii kam hue

[be-aitadaaliyo.n = intemperatness/immoderation]
[subuk = embarrassed]


pinhaa.N thaa daam saKht qariib aashiyaa.N ke
u.Dane na paaye the ki giraftaar ham hue

[pinhaa.N=concealed; daam=trap]


hastii hamaarii apanii fanaa par daliil hai
yaa.N tak miTe ke aap ham apanii qasam hue

[daliil=argument/example]


saKhtii_kashaan-e-ishq kii puuchhe hai kyaa Khabar
vo log raftaa-raftaa saraa_paa alam hue

[saKhtii_kashaan-e-ishq = problems of people in love]
[saraa_paa = from head to feet; alam = sorrow ]


terii vafaa se kyaa ho talaafii ki dahar me.n
tere sivaa bhii ham pe bahut se sitam hue

[talaafii = complaint; dahar = world; sitam = oppression]


likhate rahe junuu.N kii hikaayat-e-Khuu.N_chakaa.N
harcha.nd is me.n haath hamaare qalam hue

[junuu.N = ecstasy; hikaayat = story/narrative]
[Khuu.N_chakaaN = blood-drenched; qalam=cut]


allaah re! terii tundii-e-Khuu jis ke biim se
azzaa-e-naalaa dil me.n mere rizqe-ham hue

[tundii-e-Khuu = habit of aggressiveness; biim = terror]
[azzaa-e-naalaa = pieces of screams; rizq = subsistence]


ahal-e-havas kii fatah hai tark-e-nabard-e-ishq
jo paa.Nv uTh gaye vo hii un ke alam hue

[ahal-e-havas = greedy; tark = relinquishment]
[nabard = battle; alam = flag/banner]


naal-e-adam me.n cha.nd hamaare supurd the
jo waa.N na khi.nch sake so wo yaa.N aake dam hue

[naale = voice; adam = non-existence; dam = breath]


cho.Dii 'Asad' na ham ne gadaa_ii me.n dil_lagii
saa_il hue to aashiq-e-ahal-e-karam hue

[gadaa_ii = beggary; dil_lagii = amusement]
[saa_il = begger; ahal-e-karam =charitable person]

bahot sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai




bahot sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai
Gulaam-e-saaqii-e-kausar huu.N mujhako Gam kyaa hai
[Gam-e-getii=sorrows of the world]
[Gulaam-e-saaqii-e-kausar=servant of the person who serves drinks from 'kausar', a river which flows in heaven]
tumhaarii tarz-o-ravish jaanate hai.n ham kyaa hai
raqiib par hai agar lutf to sitam kyaa hai
[tarz-o-ravish=behaviour and character; raqiib=rival]
[lutf=benevolence; sitam=torture]
suKhan me.n Khaamaa-e-Gaalib kii aatash_afashaanii
yaqii.n hai hamako bhii lekin ab us me.n dam kyaa hai
[suKhan=poem; Khaamaa-e-Gaalib=Ghalib's pen]
[aatash_afshaa.N=to pour fire; yaqii.n=trust; dam=pride]